le chal ri nindiya
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Baap-Beti/Le-Chal-Ri-Nindiya-
le chal ri nindiya le chal hame
chanda mama ke ghar udan khatole par
le chal ri nindiya le chal hame
chanda mama ke ghar udan khatole par
hame le ja waha jaha dulhan na sathi
jhilmil jharokhe se jhakte jaha unchi katriya pe dekh
chandaniya tare chunariya me takti
jaha pariyo ki choriya ga ga ke loriya
duniya pe dal rahi jadu ki doriya
chumak chumak sapno ki sahjadiya
jaha chumkat hai rat bhar le chal ri nindiya le chal hame
chanda mama ke ghar udan khatole par
badlo se dur ghatao ke par ek cham chamata nagar hai
lakh lakh deepo ke tim tim timane se jagmag jaha har dagar hai
badlo se dur ghatao ke par ek cham chamata nagar hai
jaha heero ke pal patte amrit ke jharne jharte hai aatho pahar
le chal ri nindiya le chal hame chanda mama ke ghar
udan khatole par
duniya bananewale ramji
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Baap-Beti/Duniya-Bananewale-R
duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
roshni karne ko roj suraj aata
raat ko chup-chaap chand pehra lagaata
daso dishaao me pavan pankhe dulata
lakho parindo ka jhund jhum ke gata
wah re wah re vidhata
are wah re wah re vidhata kya khub tere kaam
duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
duniya bananewale ram ji
ajab tera jadu hai ajab tera khel
jalte hain taro ke deeye roj bina tel
aag kaa hota nahi pani se kabhi mel
phir bhi baadlo me lagi bijliyo ki bel
gehre samandar ke bhi andar hai dhum dham
duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
duniya bananewale ram ji
kuchh jarur hai teri kudrat me karaamat
kuchh jarur hai
kuchh jarur hai teri kudrat me karaamat
tere ishare pe yaha ban rahi har baat
ye jamin ye gagan, ye prakash ye pavan
ye samudra ye pahaad ye ghiri ghata sa van
tune har ek cheej luta di hai bina dam
duniya bananewale ram ji
gajab ka hai tera intjaam
duniya bananewale ram ji
andhere se ujale ke taraf
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Baap-Beti/Andhere-Se-Ujale-Ki
andhere se ujale ki taraf le ja hame bhagwan
prabhu aisa hame war de hate najro ke sab andhere
baja de gyan ki murli baja de gyan ki murli
gunja de man ka virindawan
andhere se ujale ki taraf le ja hame bhagwan
suna hai tu bada data sabhi ke bhag chamkata
idhar bhi bhej kuch kirne
idhar bhi bhej kuch kirne
hirdey ki bansi ho roshan
andhere se ujale ki taraf le ja hame bhagwan