People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 4 *

Bigdi Hai Baat Banade
Music: Bulo C Rani
Lyricist: Shevan Rizvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Al-Hilal/Bigdi-Hai-Baat-Bana-
dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
par nahi takte parvah mager rakhti hai
madad kar madad kar madad ki ghadi hai
tere naam par aaj baat aa padi hai
tere naam par aaj baat aa padi hai
tere naam par aaj baat aa padi hai

bigdi hai baat banade bigd ke banane wale
aankho ke ask le le nazaro ka nur de de
bigdi hai baat banade bigd ke banane wale
aankho ke ask le le nazaro ka nur de de
tune ager na meri suni kya kahenge log
tune ager na meri suni kya kahenge log
tujhko bhi or humko bhi jhutha kahenge log
tujhko bhi or humko bhi jhutha kahenge log

bando ki laaj rakh le izzat tu aaj rakh le
aankho ke ask le le nazaro ka nur de de
bigdi hai baat banade bigd ke banane wale
aankho ke ask le le nazaro ka nur de de
apna to gum nahi hume is baat ka hai dar
apna to gum nahi hume is baat ka hai dar
ilzam aa na jaye kahi tere naam par
ilzam aa na jaye kahi tere naam par

dil ki pukar sun le par var dildar sun le
aankho ke ask le le nazaro ka nur de de
bigdi hai baat banade bigd ke banane wale
aankho ke ask le le nazaro ka nur de de
aankho ke ask le le aa nazaro ka nur de de aa
nazaro ka nur de de aa nazaro ka nur de de aa
Amma Mein Bada Hoke
Music: Bulo C Rani
Lyricist: Shevan Rizvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Al-Hilal/Amma-Main-Bada-Hoke/
amma amma mai bada ho ke bahut kaam karuga
allah ke bando me bada naam karuga amma
amma mai bada ho ke bahut kaam karuga
allah ke bando me bada naam karuga amma

ab julm mai garibo pe hone nahi dunga
majlum hu majbur ko rone nahi dunga
daulat ke khuddaro ko mita dunga jaha se
soyi hui kismat ko jaga dunga jaha se amma
amma mai bada ho ke bahut kaam karuga
allah ke bando me bada naam karuga amma

imaan ki kashti ka mai malaah banuga
tufa ke thapedo se mai piche na hatuga
sahil pe pahuch jaunga maujo ko kuchal kar
sapno ko chhu lunga zamino se uchhal kar amma
amma mai bada ho ke bahut kaam karuga
allah ke bando me bada naam karuga amma

talwar me ghus jayunga parwah na karunga
sine pe lage tir to siski na bharuga
allah ki raaho me kadam ruk na sakega
sir tan se juda hoga par jhuk na sakega amma
amma mai bada ho ke bahut kaam karuga
allah ke bando me bada naam karuga amma amma amma
Chakku Wal Chhuri Wala
Music: Bulo C Rani
Lyricist: Shevan Rizvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Al-Hilal/Chakku-Wala-Chhuri-W
chaku wala churi wala
chaku wala
chaku wala churi wala
chaku wala
aaya mai mastana diwana
chaku wala churi wala
chaku wala
chaku wala churi wala
chaku wala

baharo ke paiyam aaye
sitaro ke salam aaye
baharo ke paiyam aaye
sitaro ke salam aaye
ye ghadi ho mubarak khushi ho mubarak
ye ghadi ho mubarak khushi ho mubarak
mubarak mubarak mubarak
aaya mai mastana diwana
diwana diwana diwana
chaku wala churi wala
chaku wala
chaku wala churi wala
chaku wala

kise malum kal kya ho
lagale jam hotho ko
kise malum kal kya ho
lagale jam hotho ko
ye gol gol bahe ye moat ki hai rahe
ye gol gol bahe ye moat ki hai rahe
ye rahe ye rahe ye rahe
aaya mai mastana diwana
diwana diwana diwana
chaku wala churi wala
chaku wala
chaku wala churi wala
chaku wala

bhrosa kya hasino par
jo dil lele vahi dilbar
bhrosa kya hasino par
jo dil lele vahi dilbar
surat bholi bhali adaye hai nirali
surat bholi bhali adaye hai nirali
nirali nirali nirali

aaya mai mastana diwana
diwana diwana diwana
chaku wala churi wala
chaku wala
chaku wala churi wala
chaku wala
Hame Tho Loot Liya
Music: Bulo C Rani
Lyricist: Shevan Rizvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Al-Hilal/Humen-To-Loot-Liya-M
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne
nazar me shokiyaan aur bachapanaa sharaarat me
adaae dekhake ham phas gaye mohabbat me
ham apani jaan se jaaege jinaki ulfat me
yakin hai ki na aaege vo hi maiyyat me
to ham bhi kah dege ham lut gae sharaafat me
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne

vahi-vahi pe kayaamat ho vo jidhar jaae
jhuki-jhuki hui nazaro se kaam kar jaae
tadapataa chhod de raste me aur guzar jaae
sitam to ye hai ki dil le le aur mukar jaae
samajh me kuchh nahi aataa ki ham dikhar jaae
yahi iraadaa hai ye kahake ham to mar jaae
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne

vafaa ke naam pe maaraa hai bevafaao ne
ki dam bhi ham ko na lene diyaa jafaao ne
kudaa bhulaa diyaa in husn ke kudaao ne
mitaa ke chhod diyaa ishq ki kataao ne
udaae hosh kabhi zulf ki havaa ne
hayaa-e-naaz ne lutaa kabhi adaao ne
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne

hazaar lut gaye nazaro ke ik ishaare par
hazaaro bah gaye tufaan banake dhaare par
na inake vaado kaa kuchh thik hai na baato kaa
fasaanaa hotaa hai inakaa hazaar raato kaa
bahut hasi hai vaise to bholapan inakaa
bharaa huaa hai magar zahar se badan inakaa
ye jisako kaat le paani vo pi nahi sakataa
davaa to kyaa hai duaa se bhi ji nahi sakataa
inhi ke maare huye ham bhi hai zamaane me
hai chaar lafz mohabbat ke is fasaane me

hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne

zamaanaa inako samajhata hai nekh vaar maasum
magar ye kahate hai kyaa hai kisiko kyaa maalum
inhe na tir na talvaar ki zarurat hai
shikaar karane ko kaafi nigaahe ulfat hai
hasin chaal se dil payamal karate hai
nazar se karate hai baate kamaal karate hai
har ek baat me matalab hazaar hote hai
ye sidhe-saade bade hoshiyaar hote hai
kudaa bachaae hasino ki tez chaalo se
pade kisi kaa bhi pallaa na husna vaalo se
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne

husna vaalo me mohabbat ki kami hoti hai
chaahane vaalo ki taqadir buri hoti hai
inaki baato me banaavat hi banaavat dekhi
sharm aankho me nigaaho me lagaavat dekhi
aag pahale to mohabbat ki lagaa dete hai
apani rukasaar kaa divaanaa banaa dete hai
dosti kar ke phir ajaan nazar aate hai
sach to ye hai ki beimaan nazar aate hai
maute kam nahi duniyaa me muhabbat inaki
zindagi hoti barabaad badaulat inaki
din bahaaro ke guzarate hai magar mar-mar ke
lut gaye ham to hasino pe bharosaa kar ke

hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne
hame to lut liyaa milake husna vaalo ne
kaale-kaale baalo ne gore-gore gaalo ne