Tu Kahi Aas Paas Hi Dost
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Paas/Tu-Kahin-Aas-Paas-Ha
tare aane ki aas hai dost
sham phir kyon udas hai dost
mehki mehki fiza ye kehti hai
tu kahi aas pas hai dost
tu kahi aas pas hai dost
Shehar Me Charcha Hi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Paas/Shaher-Mein-Charcha-
shehar me charcha hai
shehar me charcha hai ye duniya kehti hai
shaher me charcha hai ye duniya kehti hai
gali me meri ek ladki kanwari rehti hai
kahi tu wahi to nahi
wahi to nahi wahi to nahi ha ha bolo
shehar me charcha hai
shehar me charcha hai jamana kehta hai
shehar me charcha hai jamana kehta hai
gali me meri ek mera diwana rehta hai
kahi tu wahi to nahi
wahi to nahi wahi to nahi ha ha bolo
sun ri kamla ek jatt amla
muchh na dadi ghoda gaadi
leke aaya ho aaya dil ghabraya
leke aaya ho aaya dil ghabraya
mai sharmaai ram duhayi
meri nindiya tuti jo dekha ye sapna
chhupata hai kyu surat saf dikha chehra apna
kahi tu wahi to nahi
wahi to nahi wahi to nahi ha ha bolo
dekh o banke ye khat padhke
kisne likha hai isme likha hai
teri diwani diwani mai diljani
teri diwani diwani mai diljani
band ke baja leke aaja
dikha du ye tujhko ise pehchane to
mujhe shak hota hai tujhpe bura na mane to
kahi tu wahi to nahi
wahi to nahi wahi to nahi hoi hoi bol na
saja hai mandap samne tere
aa chal lele ham bhi phere
o mud ja jatta ho jatta chhod duppata mud ja jatta ho jatta chhod duppata
aur to ho par ye nahi hoga
yehi ho jaye na ye hote dekha hai
mere hatho me ye jiske lagan ki rekha hai
kahi tu wahi to nahi
wahi to nahi wahi to nahi ho bol
shehar me charcha hai jamana kehta hai
gali me meri ek mera diwana rehta hai
kahi tu wohi to nahi
kahi tu wohi to nahi
kahi tu wohi to nahi wohi to nahi
wohi to nahi wohi to nahi ha ha bolo
Mein Phool Bechti Hu
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Paas/Main-Phool-Bechti-Ho
koi aan bechata hai koi shan bechata hai
koi aan bechata hai koi shan bechata hai
kya kya jahan mein tauba insan bechata hai
main phul bechati hu main phul bechati hu
main hu phulwali
main phul bechati hu main phul bechati hu
main hu phulwali
ho janabe aali main phul bechati hu
main phul bechati hu main hu phulwali
bhagwan ki ho puja o
bhagwan ki ho puja ya pyar ke ishare
hote hai iss jahan me phul se kaam sare
dulhe ne bandha phulo ka sehra dulhan phulo ki mala
main hu phulwali main phul bechati hu
main hu phulwali main phul bechati hu
kis kam ki ye bindiya o
kis kam ki ye bindiya kis kam ka ye kajra
solah singhar pe hain bhari ye ek kajra
jo ye lagaye sajan ko ye bhaye gori ho ya kali
main hu phulwali main phul bechati hu
main hu phulwali main phul bechati hu
ek roj ek ladka o
ek roj ek ladka phul le gaya tha
jate huye wo haske dil apna de gya tha
socha na samjha kha baithi dhokha main thi bholi bhali
main phul bechati hu
koi aan bechata hai koi shan bechata hai
kya kya jahan me tauba insan bechata hai
main phul bechati hu main phul bechati hu
main phul bechati hu
Humko Bhi Ghum Ne Mara
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Paas/Ham-Ko-Bhi-Gham-Ne-M
ho o o
(hamko bhi gam ne mara, tumko bhi gam ne mara
ham sabko gam ne mara, iss gam ko maar daalo ho ho) - (2)
aa o o o ho
hamko bhi gam ne mara, tumko bhi gam ne mara
ham sabko gam ne mara, (iss gam ko maar daalo -2)
(ye gam kabhi khushi ka arman banke aaya
hanste huye ye dil me mehman banke aaya) - (2)
ghar se isse nikalo, is gam ko maar daalo
hamko bhi gam ne mara, tumko bhi gam ne mara
ham sabko gam ne mara, (iss gam ko maar daalo -2)
(din ko tadapte hain woh rato ko jagte hain
nadan hain bade woh jo gam se bhagte hain) - (2)
hanskar gale lagalo, iss gam ko maar daalo
hamko bhi gam ne mara, tumko bhi gam ne mara
ham sabko gam ne mara, (iss gam ko maar daalo -2)
(har aarju hai chhoti ye jindagi badi hai
woh samne najar ke dekho khushi khadi hai) - (2)
aawaz do bulalo, iss gam ko maar daalo
hamko bhi gam ne mara, tumko bhi gam ne mara
ham sabko gam ne mara, iss gam ko maar daalo ho ho
hamko bhi gam ne, tumko bhi gam ne
ham sabko gam ne, iss gam ko maar daalo
Bhare Bazaar Me
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Paas/Bhare-Bazaar-Mein/PQ
bhare baazaar me ham kyun
bhare baazaar me ham kyun
ye dil ki baat le jaaye
bhare baazaar me ham kyun ye dil ki bat le jaye
yahi achha hai apna gam ham apne sath le jaye
bhare bazar me ho o o
zamane ne nasibon ke hawale kar diya hamko
zamane ne zamane ne nasibon ke hawale kar diya hamko
jaha chahe jidhar chahe pakadkar hath le jaye
jaha chahe jidhar chahe pakadkar hath le jaye
bhare bazar me ho o o
meharbano kabhi tumne liya tha karz jo hamse
meharbano meharbano kabhi tumne liya tha karz jo hamse
wohi de do samajhkar ham usse khairat le jaye
wohi de do samajhkar ham usse khairat le jaye
bhare bazar me ho o o
kaha aankhe kaha baadal magar dil me ye aati hain
kaha aankhe kaha aankhe kaha badal magar dil me ye aati hain
bahut roye churakar ghar me ye barsat le jaye
bahut roye churakar ghar me ye barsat le jaye
yehi achha hai apna gam ham apne sath le jaye
bhare baazaar me ham kyun ye dil ki bat le jaye