aaj na baccho maango khana
aaj sunati hun main gaana
kal chaand se jaakar laaungi
chaandi ki roti
tum sab ko khilaaungi
chaandi ki roti
agla jhule pagla jhule
saawan maas karela jhule
agla jhule pagla jhule
saawan maas karela jhule
agla jhule pagla jhule
saawan maas karela jhule
ek tha chuha teen baras ka
rehta tha vo jungle me
ek din apne bil se nikla
haathi dekha jungle me
chuhe ko maalum nahi tha
iska naam hai haathi
haathi ko samjha usne
apna hi koi saathi
haathi ko puchha usne bhai
tum ho budhe kitne
haathi sund utha kar bola
main hun haathi teen baras ka
par tum ho kaun
sharm ka mara soch me duba chuha bola
hun to main bhi hathi aur jhuth nahi main kehta hun
lekin bachpan hi se pyaare
main bimaar sa rehta hun
agla jhule pagla jhule
saawan maas karela jhule
ek bhayanak sher tha baccho apni
gufa me tha baitha
natkhat se khargosh ne jaakar
uske kaan me bola
ab jungle me aa pahucha hai
jungle ka asli raja
vo kehta hai aap bajaao
sarkas me ja kar baja
ye sunkar sher ko gussa aaya
aur khargosh se bola
dikhaao mujhe kaha hai vo
sher ko apne saath liya
ek kuyen pe le aaya
aur kaha vo dekho ye hai asli raja aaya
sher ne paani me jhaanka to dekha apna saya
sachmuch usne samjha are
ye to dusra raja aaya
aage pichhe kuch na dekha
taan ke muchhe kuda
asli raja ke dhokhe me
kuyen me ja duba
khargosh ki chalaaki pe khush the
saare jungle waasi
jhum jhum ke naach rahe the
gaate bheem palasi