zardozi lamhe odh ke dil
gham sare peechhe chhod ke dil
behne de hawaon mein jo behna chahta hai
kehne de suroor mein jo kehna chahta hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din
zardozi lamhe odh ke dil
koi kachhi umra ka dil mein jo malal tha
aaj kahin wo kho gaya
khushi aur zindagi dono ek ho gayi
toota ho jaise dayara
jalne de jo lau dilon ki jalna chahti hai
chalne de yu neend mein wo chalna chahti hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din
zardozi lamhe odh ke dil
aankhon ki munder se dil ke aasman tak
koi nahin hai teesrakhwabon ki waadiyan khwabon ke mor hain
khwabon ki hai aab-o-hawa
khone de yu khwab mein jo khona chahta hai
hone de dhuan dhuan jo hona chahta hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din
zardozi lamhe odh ke dil
khali ho gaya hai dil
bhar gayi hain dhadkane
sazish hai ya hai ye saza
chal tez thi magar
peechhe reh gaye kadam
aakhir hai kya ye maazra
thagne de yu zindagi jo thagna chahti hai
lagne de jo chot dil pe lagna chahti hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din
zardozi lamhe odh ke dil
gham sare peechhe chhod ke dil
behne de hawaon mein jo behna chahta hai
kehne de suroor mein jo kehna chahta hai
naya nahi lekin naya lage ye din
naya nahi lekin naya lage ye din
zardozi lamhe odh ke dil