Kaun Kisko Janta Hai
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Akarshan/Kaun-Kisko-Janta-Hai
ho koun kisko janta hai in dino
fasla hi fasla hai in dino
vo ki jo khudzaat se tha anjuman
kya akela ho gya hai in dino
manjilo ki justju me jindgi
rasta hi rasta hai in dino
kabhi kabhi yun bhi hota hai aahe bhar ke dil rota hai
bhulegi na tu mujhe bhulunga na mai tujhe dil ko diwana kar lu
jag se begana kar lu tune shisha tod diya dourahe pe chhod diya
chaha tujhe bhula du mai jalta diya bujha du mai
jhute hai ye riste dil ke jana ab ye tujhse mil ke
thahri thahri lagti hai duniya mai rou to hasti hai duniya
fika hai khushiyo ka mela kitna hai ye dil akela
dil ko diwana kar jag se begana kar
tune shisha tod diya dourahe pe chhod diya
aankho se jo aansu bahenge mere gam ki bate kahenge
aisa hoga ye kya pata tha manjil gum thi khoya rasta tha
kaise dil ko aaye suku gaate gaate kaha me ruku
gaate gaate kaha me ruku
Jhilmil Jhilmil
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Akarshan/Jhil-Mil-Jhil-Mil/Lw
jhilmil jhilmil aas kiran gagan mein ek nanha taara
jhum uthe parbat nadiya magan dekhke jag saara
jeena jeena naya savera aane ko hai laal mera
chaaro taraf gulaab khile khushbu khushbu huyi faza
gun gun gun gun gaati phire gulshan gulshan baade saba
ek naye yug ki sargam ek naye yug ki kavita
saari kaaynaat ko intzaar hai ek bachche ka
wo kaala hoga ya gora to kya
wo aayega to aansu ko muskaan mein badal dega
nafrat ko pyaar ka aanchal dega
jung ko aman ki god mein sula dega
rang aur nasl ka bhed mitaakar saare dukho ko bhula dega
hogi puri muraad mann ki hum dono ke jivan ki
khul jaayengi raahein saari aapas ki apnepan ki
jhilmil jhilmil aas kiran gagan mein ek nanha taara
jeena jeena naya savera aane ko hai laal mera
Zindagi Waqt Ka Aaina Hai
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Akarshan/Zindagi-Waqt-Ka-Aain
jindagi waqt ka aaina hai
jisme apna hi chehra anjaana sa lagta hai
jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
begaana sa lagta hai jindagi waqt ka aaina hai
jhutha hai duniya ka mela jhuti duniyadaari
phir kyun deti palko ko khaabon ki jimmedaari
dur talak faila koyi viraana sa lagta hai
jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
begaana sa lagta hai jindagi waqt ka aaina hai
thehri thehri kadmon se manjil ki kya ummede
behtar hai chup rahe ke apne hontho ko hi si de
jisko dekho aaj wahi deewaana sa lagta hai
jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
begaana sa lagata hai jindagi waqt ka aaina hai
kise pata kab kisi mod pe rahe na apna mann
jise na jaana usi ki tarah ho jaaye aakrshan
jara gaur se dekho to afsaana sa lagta hai
jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
jindagi waqt ka aaina hai
jisme apna hi chehra anjaana sa lagta hai
jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
begaana sa lagata hai jindagi waqt ka aaina hail
Tumne Mujko Pyarse
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Akarshan/Tumne-Mujhko-Pyar-Se
tumne mujhako pyaar se na dekha ek baar
main khada raha nihaarata raha tumhe
tum na sun sake sada jo mere dil se aa rahi thi
main magar pukaarata raha tumhe
jindagi ki raah mein chhudaake haath tum agar
chale gaye toh chot kyun lage mujhe
roshani tumhaare bhaag mein likhi huyi hai aur
mere bhaag mein diye bujhe bujhe
abb yeh sochata hoon dil ke aayine mein
kis liye main raat din pukaarata raha tumhe
tumne mujhako pyaar se na dekha ek baar
main khada raha nihaarata raha tumhe
meri priya kaise dhundu tumhe
dil yeh kahe aake chhu lun tumhe
kya mera naseeb hai ki jindagi ki raah mein
na tum mile na ghar mila na raasta
ek tumhaari justaju mein banake reh gayi
yeh jindagi ki sheesh gasta ki badduwa
tumako jitane ke daanv dhundhata raha magar
kadam kadam pe haarata raha tumhe
tumne mujhako pyaar se na dekha ek baar
main khada raha nihaarata raha tumhe
meri priya kaise dhundu tumhe
dil yeh kahe aake chhu lun tumhe
iss kadar mile hai gum ki abb kisi baat pe na
dil dukhe na dard ka pata chale
laakh koshishe karo phir bhi kam na ho sakenge
do dilon mein ho gaye jo faasale
jaanata tha yeh khaab hai yeh tut jaayega kisi ghadi
magar sawaarata raha tumhe
tumne mujhako pyaar se na dekha ek baar
main khada raha nihaarata raha tumhe
meri priya kaise dhundu tumhe
dil yeh kahe aake chhu lun tumhe
dil yeh kahe aake chhu lun tumhe
Mausam Ka Taqaaza Hai
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Akarshan/Mausam-Ka-Taqaaza-Ha
mausam ka takaza hai baho se lipat jaye
sadiyo ki tannaye lamho me simat jaye
mausam ka takaza hai baho se lipat jaye
sadiyo ki tamnaye lamho me simat jaye
mausam ka takaza hai
khwabo ka nashi man ho kanch ka aangan ho
dukh sukh jo mile humko aapas me vo bant jayege
tu mujhme utar jaye mai tujhme utar jau
aise me ye dil chahe parde se bhi hat jaye
mausam ka takaza hai baho se lipat jaye
sadiyo ki tamnaye lamho me simat jaye
mausam ka takaza hai
phulo ki jinhe khwaish kanto pe vo chalte hai
kismat se mili ghadiya dar hai na palat jaye
thare na ye barsate aankho se kahi bate
khamosh rahe hum tum umar yuhi kat jaye
mausam ka takaza hai baho se lipat jaye
sadiyo ki tamnaye lamho me simat jaye
mausam ka takaza hai baho se lipat jaye
sadiyo ki tamnaye lamho me simat jaye
mausam ka takaza hai