People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 3 *

aisa jakham diya hai
Music: Anu Malik
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Akele-Hum-Akele-Tum/Aisa-Zakh
aaya hu yaaro dil apna deke
ankho me chehra kisi ka leke
wo dil ka katil dilbar hamara
jiske liye main hua awara
milte hi jisne chuma tha mujhko
phir na palat ke dekha dobara
aur isi liye dosto maine faisla kiya
ke phir kabhi kisi se pyar nahi karunga
kabhi kisi ladki ko apna dil nahi dunga

aisa jakham diya hai jo na phir bharega
har hasin chehre se ab ye dil darega
ham to jaan dekar yuhi mar mite the
sun lo ae hasino ye hamse ab na hoga
aisa jakham diya hai jo na phir bharega
har hasin chehre se ab ye dil darega
ham to jaan dekar yuhi mar mite the
sun lo ae hasino ye hamse ab na hoga
aisa jakham diya hai

rasile honth chhalakte gal mastani chal bura kar de haal
palak fadke ke dil dhadke umar ki uthan kadakti kamal
katil ada jalim haya mere khuda mere khuda
shola badan behka chaman magar yaaro
ham to jaan dekar yuhi mar mite the
sun lo ae hasino ye hamse ab naa hoga
aisa jakham diya hai jo naa phir bharega
har hasin chehre se ab ye dil darrega
ham to jaan dekar yuhi mar mite the
sun lo ae hasino ye hamse ab naa hoga
aisa jakham diya hai

rasile honth chhalakte gal mastani chal bura kar de hal
palak bhadke hai ke dil dhadke umar ki uthan kadakti kamal
katil ada jalim haaya mere khuda o mere khuda
tu jo kahe to taro me tujhe lekar chalu
tu jo kahe to kadmo me unhe la dal du
sine se lagake ye badan kar du gulabi
chehra chum kar ke main bana du aftabi

ham to jaan dekar tumpe mar mite hai
kaun pyar tumse itna karega
aisa jakham diya hai jo naa phir bharega
har hasin chehre se ab ye dil darrega
aisa jakham diya hai

aaya hu yaaro dil apna leke
aankho me chehra kisi ka leke
koi naa koi mera bhi hoga
yahi pe kahi chhupa hi hoga
Sarfaroshi Ki Tamanna
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Prasoon Joshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Rang-De-Basanti/Lalkaar/NAs0R
hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udharaur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar
khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan
chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam
zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab
hosh dushman ke udaa denge humein roko na aa
duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai
Is Deewane Ladke Ko
Lyricist: Sameer
Album: Sarfarosh
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Sarfarosh/Is-Deewane-Ladke-Ko
Arz Hai, Dawa Bhi Kaam Na Aaye, Koi Dua Na Lage
Dawa Bhi Kaam Na Aaye, Koi Dua Na Lage
Mere Khuda Kisi Ko, Pyar Ki Hawa Na Lage

Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye
Dard-E-Dil, Jaane Na, Paas Maein Jitna Aaun
Utni Door Yeh Jaaye, Jaaye, Haan Jaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye
Dard-E-Dil, Jaane Na, Paas Maein Jitna Aaun
Utni Door Yeh Jaaye, Jaaye, Haan Jaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Rang Na Dekhe, Roop Na Dekhe,
Yeh Jawaani Ki, Dhoop Na Dekhe

Arz Hai, Kuch Majnu Bane, Kuch Raanjha Bane
Kuch Romeo, Kuch Farhad Hue
Is Rang Roop Ki Chaahat Mein, Jaane Kitne Barbaad Hue, Vo Dekho

Ishq Mein Iske, Baanvri Hoon Mein
Yeh Bhala Hai To, Kya Buri Hoon Mein
Yeh Ladka, Hai Phir Bhi, Jaane Kyun Sharmaaye,
Jaane Kyun Sharmaaye,Jaane Kyun Sharmaaye, Haan Sharmaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Jaanti Hoon Mein, Yeh Tadapta Hai
Pyar Mein Iska, Dil Dhadakta Hai

Jise Dekho Dil Ki Dhuni Ramata Hai
Are Yeh Mandir Nahin Hai, Shivala Nahin Hai
Haseenon Se Kehdo Kahin Aur Jayen
Mera Dil Hai Dil, Dharamshala Nahin Hai

Yeh Akele Mein, Aah Bharta Hai
Phir Bhi Kehne Se, Yeh Kyun Darta Hai
Sach Kuchh Bhi, Bole Na, Jhoothi Baat Banaaye
Jhoothi Baat Banaaye, Haan Banaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye
Dard-E-Dil, Jaane Na, Paas Maein Jitna Aaun
Utni Door Yeh Jaaye, Jaaye, Haan Jaaye
Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye
Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Phool Khilte Hain, Bahaaron Ka Sama Hota Hai
Aise Mausam Mein Hi To, Pyar Jawaan Hota Hai
Dil Ki Baaton Ko, Hothon Se Nahin Kehte
Yeh Fasaana To, Nigaahon Se Bayaan Hota Hai.