jab jab tujhe main dekhu, lagti tu jannati hai
jaane yeh tujhse kaisi, nisbat si ho gayi hai
jab jab tujhe main dekhu, lagti tu jannati hai
jaane yeh tujhse kaisi, nisbat si ho gayi hai
rubaru tere kyun, aane ka dhoondhu bahana
bakhuda chhod du, tu jo kahe to zamana
mashooqana, uff tera ye muskurana
mashooqana, sharma ke nazrein churana
aisa hua tera asar dil chaahe sirf tujhko pana
mashukana, uff tera ye muskurana
mashukana, sharma ke nazre churana
bol jaati hain aankhe teri sab bin kahe
lafz pa kar ke tera dil kaise bas me rahe
tujhse milne se pehle bethikana thi main
ab yeh lagne laga hai bewajah na thi main
kuchh der to tujhe dekh lu, mane agar tu bura na
mashookana, uff tera yeh muskurana
mashookana, sharma ke nazre churana
subah veerana tujh bin, shab adhoori lage
zindagi se bhi zyada, tu zaroori lage
aise mehfooz kar le, mujhko aaghosh me
umr bhar main na aaun, phir kabhi hosh me
nazdeeqiyaan itni badha do ki rahe faasla na
mashooqana, uff tera yeh muskurana
mashooqana, sharma ke nazre churana
jab jab tujhe main dekhun, lagti tu jannati hai
jaane yeh tujhse kaisi, nisbat si ho gayi hai
rubaroo tere kyun, aane ka dhoondhu bahana
bakhuda chhod doon, tu jo kahe to zamaana
mashooqana, uff tera yeh muskurana
mashooqana, sharma ke nazre churana
aisa hua tera asar dil chaahe sirf tujhko pana
mashukana, uff tera ye muskurana
mashukana, sharma ke nazre churana
mashooqana ariana, mashooqana