People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 12 *

Hum Hai Tumhare Tum Hamare
Music: Shivram
Lyricist: Madan Bharti
Tag: Hindi
Video:
hum hai tumhare tum humare
hum jab jab lenge janam sansar me
jiyenge tere hi hoke marenge tere hi pyar me
hum hai tumhare tum humare
hum jab jab lenge janam sansar me
jiyenge tere hi hoke marenge tere hi pyar me

akash pe chalta chand dhara pe
chalti meri prem kahani re saiya o more saiya
is yug se kya yug yug se hamari
prit purani o sajni prit purani ho mori sajni
milan ki madhur ghadi phir se ayi hai
ao ye wada kar le hum
jiyenge tere hi hoke marenge tere hi pyar me
hum hai tumhare tum humare
hum jab jab lenge janam sansar me
jiyenge tere hi hoke marenge tere hi pyar me

chahe lakh uthe tufan magar mera sath na chhute
o saiya sath na chhute ho more saiya
ye jag ruthe to ruthe magar mera pyar na ruthe dekho ye
pyar na ruthe o mori sajni
sajan is dukh sukh ki duniya me rahkar
jiyenge tere hi hoke marenge tere hi pyar me
hum hai tumhare tum humare
hum jab jab lenge janam sansar me
jiyenge tere hi hoke marenge tere hi pyar me
Ganga Maiya Aaj
Singer: Hemlatha
Music: Shivram
Lyricist: Mohan Bharti
Tag: Hindi
Video:
ganga maiya ganga maiya ganga maiya ho o
aaj hamari rakh le laaz ganga maiya
ganga maiya ho ganga maiya
leharo si pawan kar aaj ganga maiya
ganga maiya ho ganga maiya
leharo si pawan kar aaj ganga maiya
ganga maiya ho ganga maiya

mai abla lachar mujhe aanchal me chhupa le
aan padi tere dawar mujhe ma badh ke utha le
unch nich ke bandhan ne hume bandh diya hai
todke sab bandhan ko humko gale laga le gale laga le
daya ki jholi bhar de aaj ganga maiya
ganga maiya ho ganga maiya
aaj hamari rakh le laj ganga maiya
ganga maiya ho ganga maiya
leharo si pawan kar aaj ganga maiya
ganga maiya ho ganga maiya

aaj gayi nari ki aan to sun le mata
hoga tera apman tu bhi nari hai mata
aaj gayi nari ki aan to sun le mata
hoga tera apman tu bhi nari hai mata
aaja prachand dekh ke maiya paas hamare
aaja prachand dekh ke maiya paas hamare
ho ghamand ka sar nicha ma tere daware tere daware
mere dukhde har le aaj ganga maiya
ganga maiya ho ganga maiya
aaj hamari rakh le laj ganga maiya
ganga maiya ho ganga maiya
leharo si pawan kar aaj ganga maiya
ganga maiya ho ganga maiya

safal hua nahi mera punay to mitegi sab tirtho ki shan
mandir ke dhavaj gir jayenge mitegi jo nari ki aas
jago jago devi devta aaj mere dukh haro haro
aaj mere dukh haro haro sab tirtho ka punay chado
ganga maiya bhado bhado ganga maiya bhado bhado
ganga maiya ganga maiya ganga maiya ganga maiya
ganga maiya ganga maiya ganga maiya ganga maiya
Chal Chal Kahi Akele
Lyricist: Dev Kohli
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Salaakhen/Chal-Chal-Kahin-Akele-Mein-Duet/EwQlQyJ4ems
Video:
chal chal kahi akele me o sathi
chal chal kahi akele me mohe dar laage kho na jaye
dar lage kho na jaye mele me chal chal kahi akele me
o sathi chal chal kahi akele me
sathi re sathi re o sathi re sathi re

kitna pyara ye bachpan hai nirmal jaise neel gagan hai
kitna pyara ye bachpan hai nirmal jaise neel gagan hai
aa jhule par jhule badlo ko chu le
aa jhule par jhule badlo ko chu le
hume rahna nahi jag ke jhamele me
chal chal kahi akele me o sathi chal chal kahi akele me

udte hai bin pankh gubbare lagte hai ye pyare pyare
udte hai bin pankh gubbare lagte hai ye pyare pyare
kas ke dor pakadna hath se jaye ud na
kas ke dor pakadna hath se jaye ud na
kahi anjani bhid ke rele me chal chal kahi akele me
o sathi chal chal kahi akele me

kal ke sapne hai aankho me phool mahkate hai sanso me
kal ke sapne hai aankho me phool mahkate hai sanso me
kal ka sapna laage tu mohe apna laage
kal ka sapna laage tu mohe apna laage
sang chalna hai duniya ke mele me
chal chal kahi akele me o sathi chal chal kahi akele me
sathi re sathi re o sathi re sathi re
Jagadamba Teri Jai Ho
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Main-Hoon-Durga/Jagdamba-Teri-Jai-Ho/BBAIdSYdYXg
Video:
jagdambe teri jai ho jai
ma durge teri jai ho jai
jo bhi aaye tere dwaare sacche man se pukaare
sukh duniya ke saare uski jholi me daare
jagdambe teri jai ho jai
ma durge teri jai ho jai

shaktidaayni, bhaktidaayni
muktidaayni mata
dharambhoshni bhakatkoshni
shambhutoshni mata
saare kar do manorath pure
sada tu sur nar munigan ke
sada tu sur nar munigan ke
maiyaan tino lok khade hai
tere aage yaachak ban ke
tere aage yaachak ban ke
naarad shaarad ved vishaarad
tera dhyaan lagaaye
bhaktan ? rakt virakt piye
tere hi gun gaaye
jagdambe teri jai ho jai
ma durge teri jai ho jai
jo bhi aaye tere dwaare sacche man se pukaare
sukh duniya ke saare uski jholi me daare
jagdambe teri jai ho jai
ma durge teri jai ho jai
jagdambe teri jai ho jai
ma durge teri jai ho jai
Saat Samundar Terah
Singer: Hemlatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Maan-Abhiman/Saat-Samundar/A1Aify5XeXk
Video:
saat samundar terah nadi paar rehta tha nanha raj kumar
saat samundar terah nadi paar rehta tha nanha raj kumar

raja rani dono bachpan me hi sawrg sidhare
ek bhai ek behana chote chote the bechare
behan badi albeli thi apne me ek paheli thi
soch me dubi rahti thi dubi dubi rahti thi
chota sa tha unka sansar rehta tha nanha raj kumar

badhaye vipdaye or badti badti jaye
jan ke unko akele dikhlati thi shakti sari
dukh ke datya darte the ghar ko shalate the
bhaiya tum dar jana na dukho se ghabrana na
bahen nahi hu mai hu talwar
rehta tha nanha raj kumar
saat samundar terah nadi paar
rehta tha nanha raj kumar
Kya Likhu Kaise Likhu
Singer: Hemlatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Maan-Abhiman/Kya-Likhoon-Kaise-Likhoon-Pt.-1/Py9GViVhXHA
Video:
kya likhu kaise likhu
likhne ke bhi kabil nahi, kabil nahi
yu samajh lije ke main patthar hu
mujh me dil nahi, dil nahi
kya likhu kaise likhu
likhne ke bhi kabil nahi, kabil nahi

har kadam par aapne samjha sahi maine galat
har kadam par aapne samjha sahi maine galat
ab safai pesh karke bhi
koi hasil nahi, hasil nahi
yu samajh lije ke main patthar hu
mujh me dil nahi, dil nahi

is tarah badhti gayi kuch raste ki uljhne
is tarah badhti gayi kuch raste ki uljhne
samne manjil thi
main kahti rahi manjil nahi, manjil nahi
kya likhu kaise likhu
likhne ke bhi kabil nahi, kabil nahi

main ye manu ya na manu, dil mera kahne laga
main ye manu ya na manu, dil mera kahne laga
ab meri najdikiyo me
duriya shamil nahi, shamil nahi
kya likhu kaise likhu
likhne ke bhi kabil nahi, kabil nahi
Raj Kapoor Si Neeli Ankhein
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Video:
raj kapoor si nili aankhe devanand ki chal
dharmendar ka mardanapan or dilip ke bal
sanjay sa chail chabila shashi sa sharmila
or manoj sa bhola bhala shammi sa rangila
shokh ho wo rajindar jaisa or sunil sa baka
jisme itne gun ho sakhi ri jod usi se taka
na bangla na motar mangu na kapda na gahna
aisa shohar mil jaye to kismat ka kya kahna

kamar helan ki aanhke padmini ki gal vimi ke
ada asha ki shokhi sadhna ki bal simi ke
nutan ka kad sharmila ki angdai
babita ki jawani or nanda ki si rahnai
vahida ki tabasum or lina ki si masti
ada me naaz me nahkre me hema malini jaisi
najar jise dekhke sharmsaar ho jaye
agar biwi mile aisi to beda par ho jaye

na wo bangle ka malik ho na motar car rakhta ho
na chokidar rakhta ho na khidmat gar rakhta ho
magar rahkta ho wo johar jo rahkta ho na har koi
watan ka dard or insaniyat se pyar rakhta ho
na wo bangle ka malik ho subhash jaisa bahadur or
bagat singh sa dilawar ho watan ki aan par sar
jo haskar nichawar ho usi ko mai banaungi
rakh ke jindagi apni dua mangu ke pura ho
sakhi mera hasi sapna na wo banle ka malik ho

pujari husn ka hu mai na diwana jawani ka
ke ye chize hai aisi bulbula ho jaise pani ka
na bangla chahiye mujhko na motar chahiye mujhko
samjhta hu na mai daulat ko maksad jindgani ka
daya ki murti ho dharm ki taswir ho
aise ke jiske aage sar jhuk jaye har hindustani ka
mujhe patni mile aise jo ye asaf rakhti ho
mujhe patni mile aise jo ye asaf rakhti ho
kaleja chand biwi ka kaleja chand biwi ka
jigar jhansi ki rani ka pujari husn ka hu mai
na diwana jawani ka
Ha Mere Saiyyan Ji
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kaala-Pani/Mere-Saiyanji-Bade-Harjaee/HCAlWEV6Wmc
Video:
ho more saiyya ji bade harjaai
harjaai more saiyya ji bade harjaai
ho more saiyya ji bade harjaai
harjaai more saiyya ji bade harjaai
saari saari raat na aaye re mohe
saari saari raat na aaye re mohe
neend neend neend na aaye
saiyya ji bade harjaai
harjaai more raaja ji bade harjaai

hujur jaiye ham aapse na bolenge
gira liya hain ye ghunghat kabhi na kholenge
ham jaane hain, tum sautan ke man bhaye ho
o ham jaane hain tum, sautan ke man bhaye ho
biti saari rain sajan ab aaye ho
aise milan se to achchi hain ha achchi hain
ha achchi hain judaai
saiyya ji bade harjaai
harjaai more raaja ji bade harjaai

hamare dil ko na bahala, in bahano se
najar mila ke na khelo, garib jaano se
maana sundar chanchal bairan sautan hain
usko bhul gaye ha ha bhul gaye
jo tumri hi jogan hain
tumko hamari saiyya o saiyya
yaad naa aai
saiyya ji bade harjaai
harjaai more raaja ji bade harjaai

kasam khuda ki nahi dil tumhare sine me
na ek baat, na ikraar is mahine me
maine fir bhi barso tumse pyaar kiya
tum jhuthe ho fir bhi tumhaara etbaar kiya
aaj shikayat lab par o lab par
o lab par aai
saiyya ji bade harjaai
harjaai more raaja ji bade harjaai
saari saari raat na aaye re
mohe nind na aayi
saiyya ji bade harjaai
harjaai more raaja ji bade harjaai
Ek Phool Aur Ek Moti Si
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamaara-Sansaar/Ek-Phool-Aur-
ek phul or ek moti se guthe na koi har
hame banaya ishwar ne ek duje ka singar
ke do se shuru hua shuru hua shuru hua sansar
ke do se shuru hua shuru hua shuru hua sansar

din bhi hai thoda to rat bhi hai thodi
waise hi sukh or dukh ki hai jodi
din bhi hai thoda to rat bhi hai thodi
waise hi sukh or dukh ki hai jodi
sukh or dukh dono ka hai is jiwan par adhikar
hame banaya ishwar ne ek duje ka singar
ke do se shuru hua shuru hua shuru hua sansar
ke do se shuru hua shuru hua shuru hua sansar

jiwan abad hai dono ab hai
pag hai sabmhale dono aankho me
ji bhare hai ujale kam do se bhi chal jaye
kam do se bhi chal jaye apni to bahe char
hame banaya ishwar ne ek duje ka singar
ke do se shuru hua shuru hua shuru hua sansar
ke do se shuru hua shuru hua shuru hua sansar
Garibo Ki Holi Tarang
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Aur-Ekk-Gyaraah/Gharibon-K
he he he he
holi re holi masto ki toli
budhe jawaan sab yaar hamjoli
holi re holi masto ki toli
budhe jawaan sab yaar hamjoli
garibo ki holi tarang waali
kitane rang badale ye matwaali
he he he
garibo ki holi tarang waali
kitane rang badale ye matwaali
ho sara ra ra ra ra
pichkari maro re gori galo pe
ki lali pe chadh jaaye aur lali
garibo ki holi tarang waali
kitane rang badale ye matwaali
garibo ki holi tarang waali
kitane rang badale ye matwaali

thodi si kalakh hain thoda sa rang bhi
thodi si kalakh hain thoda sa rang bhi
thodi mithai hain thodi si bhang bhi
jhum adhura masti puri
laaj kaha ki kya majburi
laaj kaha ki kya majburi
ho sara ra ra ra ra
mausam basnti hain kahe ko banti hain
mil ja re hams eo dilwali
garibo ki holi tarang waali
kitane rang badale ye matwaali

rango ki barkha ragino ka sath hain
aise me aa jaye balam to baat hain
aise me aa jaye balam to baat hain
bhiga yovan bhigi saadi
aaj to hain har cheej hamari
aaj to hain har cheej hamari
ho sara ra ra ra ra
mausam basnti hain kahe ko banti hain
mil ja re hams eo dilwali
garibo ki holi tarang waali
kitane rang badale ye matwaali

aa aa aa o o o ho ho ho
chhaila ji kya rakha rango ke thal me
ho ho ho
chhaila ji kya rakha rango ke thal me
jo rang chaha wahi mere gal me
ho ho ho ho ho
dhina dhin taak dhina dhin
dhina dhin taak dhina dhin
dhina dhin taak dhina dhin
are rang biranga mukh gori ka
ang bhi hain satranga
are rang biranga mukh gori ka
ang bhi hain satranga
are bhar ke baaho me kas du to bhul jaye hudanga
re fir dekh dekh aha ha
aa chhaila ji main bhi jute ka maaru aisa dhakka
chhaila ji main bhi jute ka maaru aisa dhakka
nikal jaaoge ticket bina hi, tum sidhe culcutta
re fir dekh dekh aha ha
he gunje gunje re gokul dham
Music: Rajkamal
Lyricist: Narendra Sharma
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Akhand-Sowbhagyavati/Gunje-Gu
yashomati ne jaye hai laal, laal shiv ke pyare ho
yashomati ne jaye hai laal, laal shiv ke pyare ho
mohe dekhan de
mohe dekhan de ri gopal
pukare shiv ji dware
yashomati ne jaye hai laal, laal shiv ke pyare ho

he gunje gunje re gokul dham
yashoda ghar aaye sundar shyam
he gunje gunje re gokul dham
yashoda ghar aaye sundar shyam

bhid bhayi hai nand ke dware
gwaliniya dahi makhan vare
o bhid bhayi hai nand ke dware
gwaliniya dahi makhan vare
o kaanha kaanha kaanha ho ho ho kaanha
hai pyare lalana ka mohan naam
yashoda ghar aaye sundar shyam
he gunje gunje re gokul dham
yashoda ghar aaye sundar shyam

diya brahma ne chhatr vishal, indr kundal hare
diya brahma ne chhatr vishal, indr kundal hare
wara suraj ne o ho
wara suraj ne sone ka tar
chandr shiv ne ware ho
yashomati ne jaye hai laal, laal shiv ke pyare ho

he saje saje re nand ji ka dhaam
viraje nand kunar ghnsyam
he saje saje re nand ji ka dhaam
viraje nand kunar ghnsyam
mor ka pankh mukut me sohe
haath muraliya man ko mohe
ho mor ka pankh mukut me sohe
haath muraliya man ko mohe
he kaanha kaanha kaanha ho ho ho kaanha
he dekho dekho re chhavi adhi raam
yashoda ghar aaye sundar shyam
he gunje gunje re gokul dham
yashoda ghar aaye sundar shyam
aaye re sundar shyam
he gunje gunje re gokul dham
yashoda ghar aaye sundar shyam
aaye re sundar shyam
he gunje gunje re gokul dham
yashoda ghar aaye sundar shyam
om namah shivay
Music: Rajkamal
Lyricist: Narendra Sharma
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Akhand-Sowbhagyavati/Om-Namah
pratham pujay gajvadan vinayak
jinke laal ladle balak
nar naari ishvar shamb sada shiv
kripa kare tribhuan ke palak

mahadev hain dev mahan
kaun dev hain inke saman
kar gaye vish ka paan
sada shiv karte amrit daan
bhajo bhayi shiv ko sab dukh jaaye
bolo om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay
mahadev hain dev mahan
kaun dev hain inke saman
kar gaye vish ka paan
sada shiv karte amrit daan
bhajo bhayi shiv ko sab dukh jaaye
bolo om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay

he gangadhar ho
he gangadhar daar ke sagar
bhari rahe meri bhakti ki gaagar
shradha meri badhti rahe
chndr kala ki chadhti rahe
saty ka sona aaj tyag ke
sundar murat gadhti rahi
sundar saty ho, saty ho sundar
shiv ji kare sahay
bolo om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay

he parmeshwar o ho
he parmeshwar shesh shikhar ishvar
umapte balak parmeshwar
tumhi maha mrityunjay ho
kyu na mera man nirbhay ho
kyu na chunauti lo jyotish ki
tum jo param jyotirmay ho
kaal ke kaal mahakaleshwar, meri laaj na jaye
bolo om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay

isht dev har ho
isht dev har girija ke wo var
kaha gaye bhole bhomeshwar
uljhan man ki suljhao
aao shiv aao aao
kaisi lila jag ke swami
antaryami batlao
sadadhar tum niradhar, me kaise dhir dharaye
bolo om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay

mukti ke data ho
mukti ke data tribhuan bhrata
tumhi pita aur tumhi ho mata
kyu anath main naath hu mawar
pahra hain kyu disha disha par
sara ghar hain kyu ghar aanagan
kyu na bhakti ki shakti ujagar
niyam nibhau kaise sada shiv
kahu main shish naway
bolo om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay

he tripurari o
he tripurari sharan tumhari
binati suno kailash bihari
sharnagat ko apano
vachan sudha ras barsao
achal suhag karo achleshwar
vedmukt kah do aao
jai somnath jai somnatha
man mandir pat khul jaye
bolo om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay
om namah shivay, om namah shivay