pehle lohe ki chingaari
chamki haaye mrityu jaagi
kohre se dohri hai dharti
andhiyare ne agni daagi
manav dhad aur gardan
khoon ki pichkaari chhitraaye
jo bhi lalkaare janni ko
ek hi jhatke mein chir jaaye
maare jaane ka din hai Yeh
mrityu maare hai kilkaari
matki se sar phat-te jaayein
behti rakton ki pichkaari
chat chat chaate woh sabko dekho
ranchandi woh taak bhi jaaye
sau haathon ki dekho
saansein saansein si bikhraayein
bhookh se banduko ko bhi dekho
woh mrityu ka janam karaayein
saari garbhwati bandookein
karke dhaanye dhaanye chillayein
maathe cheekhein mutthi baandhe
loha lohe kehta jaaye
sannate ki chamdi mein se
kolahal sa behta jaaye
ghan ghan karke garje loha
ghan ghan gole barse loha
nikla kaise cheere dekho
jalte dhadke sar se loha
dar ke maare ambar ooncha
ooncha ooncha hota jaaye
kadmon se yoon dhool Ude hai
laakhon sooraj bhi dhak jaayein
pagle haathi jaisi dole
mrityu chinghaade aur bole
kat gayi saari rakta shiraayein
sabka khoon ubal kar khaule
dum kham lekar veer lade hain
ghayal hokar bhi lade hain
sir kat jaayein khanjar
koi yun gambheer lade hain
aankhon mein jo khoon bharega
sara laal laal niklega
aankhein band karo aur baanto
warna jaan maal niklega
dar ke dharti bol rahi hai
dar jaaoongi bol rahi hai
laashon ka ambaar kaga hai
dharti sabko taul rahi hai
har nas mein bhara hai
aur saanson mein kaal bhara hai
meri boo se dharti saari
aur aadha paatal bhara hai
nikhre mund lund bhi dekho
raktim gehra kund bhi dekho
giddhon ki faili hain baahein
dekho unka jhund bhi dekho
tap ke hawa ke pad gaye chhale
talwaaron se chhil gayi kaaya
jeevan ke taaron pe dekho
mrityu ne sangeet bajaaya
jal gaye zinda kitne maanav
gaaon ko bhi jal jaane do
jungle ke sab panchhi jal gaye
chhaon ko bhi jal jaane do
laashe aisi chhitri bikhri
giddhon ki buddhi chakraaye
maans ke lothade aise faile
mrityu ko bhi ghin si aaye
phir bhi usne jabda khole
saanson ko bhi chaba liya hai