People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 7 *

Ambuva Ke Ped Suhane
Lyricist: D.N. Madhok
Album: Sabak(1950)
Tag: Hindi
Video:
ambua ke ped suhane
ka kahe, ka kahe mose kaun jane

ambua ke ped jhume mast hawao me
tohe pukare ree aaja hoaa aaja
thandee thandee chhanvo me
kar le muhabbat kisee bahaane
ka kahe, ka kahe mose kaun jane
ambua ke ped

gaya bachapana aayee jawanee, lekar aayee sau arman
nikal ke rahenge sab arman, dhiraj dhar lo meree jaan
naina tihare ree goree hoa, goree, lage muskane
dil ka papiha bhee laga gane kaa kahe ka kahe mose kaun jane
ambua ke ped
Jhank Jharoke Se
Lyricist: D.N. Madhok
Album: Sabak(1950)
Tag: Hindi
Video:
jhank jharokhe se tu mahlo wale
o matwale tohe sunau jee ki bat
tohe sunau jee ki bat
mai bhi kahungi dukhi jiya ki batiya
kate na ratiya rou mai aadhi aadhi raat
rou mai aadhi aadhi raat

nit hi diye mohe jhuthe dilase
mai mar jau teri bala se
nit hi diye mohe jhuthe dilase
mai mar jau teri bala se
tu jab vyakul hokar roye sune na koi
chhut gaye more sath
ho rou mai aadhi aadhi raat
jhank jharokhe se tu mahlo wale
o matwale tohe sunau jee ki bat
rou mai aadhi aadhi raat

pyar ka maan kabhi na karna
kal kya hoye kal se darna
pyar ka maan kabhi na karna
kal kya hoye kal se darna
sath jiyenge hum sath marenge
phir kyu darenge honge suhane din rat
rou mai aadhi aadhi raat
jhak jharokhe se tu mahlo wale
o matwale tohe sunau jee ki bat
tohe sunau jee ki bat
Ni Sa Ga Ma Pa
Singer: G.M. Durrani
Lyricist: D.N. Madhok
Album: Sabak(1950)
Tag: Hindi
Video:
ni sa ga ma pa sa
haaye re ma pa re ga sa
ni sa ga ma pa sa
haaye re ma pa re ga sa
bachpan ka ye mera saathi
ab to bana de ishko haathi
bachpan ka ye mera saathi
ab to bana de ishko haathi
karta hun ye hi duaa
haaye re ma pa re ga sa
karta hun ye hi duaa
haaye re ma pa re ga sa
ni sa ga ma pa sa haaye re ma pa re ga sa

laga taar ghanto rota hain jab
kahe punjabi kyun khota hain
laga taar ghanto rota hain jab
kahe punjabi kyun khota hain
choad ghaas khata hai hawa
haaye re ma pa re ga sa
choad ghaas khata hai hawa
haaye re ma pa re ga sa
ni sa ga ma pa sa haaye re ma pa re ga sa

dono ka ghar aabad karo
hame ek baar to yaad karo
dono ka ghar aabad karo
hame ek baar to yaad karo
in beetein raahon pe milte khuda
haaye re ma pa re ga sa
in beetein raahon pe milte khuda
haaye re ma pa re ga sa
ni sa ga ma pa sa haaye re ma pa re ga sa
Dil Mein Shama Jalake
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: D.N. Madhok
Album: Sabak(1950)
Tag: Hindi
Video:
dil me shama
dil me shama jalake tere intzar ki, intzar ki
dunia luta ke
dunia luta ke baithi hu sabro karar ki
sabro karar ki
dil me shama

aankho ka nur dil ki tamannaye lut kar
tamannaye lut kar
aankho ka nur dil ki tamannaye lut kar
tamannaye lut kar
surat bigad
ho surat bigad di hai fiza ne bahar ki
fiza ne bahar ki
surat bigad di hai fiza ne bahar ki
ho surat bigad di hai fiza ne bahar ki
fiza ne bahar ki
dil me shama

aaja ki dil me rang bhara hai ummid ka
aaja, aaja ki dil me rang bhara hai ummid ka
hai ummid ka
tasveer phir rahi
tasveer phir rahi hai nigaho me pyar ki
nigaho me pyar ki
dil me shama

fariyad meri sunke sitare bhi ro diye
sitare bhi ro diye
fariyad meri sunke sitare bhi ro diye
sitare bhi ro diye
rato ko uthke
rato ko uthke maine jo teri pukaar ki
teri pukar ki
dil me shama
More Nain Baware
Singer: Surender Kaur
Lyricist: D.N. Madhok
Album: Sabak(1950)
Tag: Hindi
Video:
more nain baawre
more nain baawre chham-chham nir bahaaye
tum ho dur sajanva ham dukh kise sunaaye
more nain baawre

kaahe ko dekho hame tum ghur-ghur ke
kaahe ko dekho hame tum ghur-ghur ke
bas ki nahi kuchh mujh majbur ke
bas ki nahi kuchh mujh majbur ke
maangu yahi duaaye, maangu yahi duaaye
hame lag jaaye aah kisi ki ham mar jaaye
more nain baawre
more nain baawre chham-chham nir bahaaye
tum ho dur sajanva ham dukh kise sunaaye
more nain baawre

pyaar ki laaj tore haath more saiyaa re
pyaar ki laaj tore haath more saiyaa re
jag me hansaai na ho padu tore paiyaan re
jag me hansaai na ho padu tore paiyaan re
itni araj gujaaru, itni araj gujaaru
kisi bahaane mil jaana din bite jaaye
more nain baawre
more nain baawre chham-chham nir bahaaye
tum ho dur sajanva ham dukh kise sunaaye
more nain baawre
Kah Do Hame Na
Lyricist: D.N. Madhok
Album: Sabak(1950)
Tag: Hindi
Video:
kah do hame na bekarar kare
wo jise mera dil pyar kare
wo jise mera dil pyar kare
kah do hame na bekarar kare
wo jise mera dil pyar kare

ghadi ghadi panghat pe aau
bhari gaagri bhar le jau
ghadi ghadi panghat pe aau
bhari gaagri bhar le jau
ghar me badnam bar bar kare
ghar me badnam bar bar kare
wo jise mera dil
wo jise mera dil pyar kare
kah do hame ka bekarar kare
wo jise mera dil pyar kare

dard ke badle dard liya hai
dil ka sauda dil se kiya hai
dard ke badle dard liya hai
dil ka sauda dil se kiya hai
dagre chalat takrar kare
dagre chalat takrar kare
wo jise mera dil
wo jise mera dil pyar kare
kah do hame na bekarar kare
wo jise mera dil pyar kare

lagan lagana kasam nibhana
jal jana jane parwana
lagan lagana kasam nibhana
jal jana jane parwana
aiso pe kaun etbar kare
aiso pe kaun etbar kare
wo jise mera dil
wo jise mera dil pyar kare
kah do hame na bekarar kare
wo jise mera dil pyar kare
Aa Ja O Jane Wale
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: D.N. Madhok
Album: Sabak(1950)
Tag: Hindi
Video:
aaja aaja
aaja aaja o janewale
ye dil ki dunia tumhe bulaye
kuch to kah jao mere dil se
ki dil tadap ke na baith jaye
aaja aaja

jo sair sawan ki chahte ho
bichi hai kadmo me meri aankhe
jo sair sawan ki chahte ho
bichi hai kadmo me meri aankhe
jaha tadap kar
jaha tadap kar har ek hasrat
umad ke aaye baras ke jaye
jaha tadap kar har ek hasrat
umad ke aaye baras ke jaye
aaja aaja

lo aaj ham tumse kah rahe hai
ki hum tumhare bagair kya hai
lo aaj ham tumse kah rahe hai
ki hum tumhare bagair kya hai
ki jaise tuta
ki jaise tuta hua sitara
idhar se aaye udhar ko jaye
ki jaise tuta hua sitara
idhar se aaye udhar ko jaye
aaja aaja o